rava nahin hai agar ye to narava bhi nahin
ki arz-e-shauq se tauhin-e-mudda.a bhi nahin
junun ko ishq ki me.araj janne vaale
ye intiha to mohabbat ki ibtida bhi nahin
kahan ye tha ki tire markaz-e-nazar the hamin
kahan ye hai ki saza-var-e-e’tina bhi nahin
karam na tha to taraste the ham jafa ke liye
karam hua to mazalim ki intiha bhi nahin
tu hi bata ki tire dar se uTh ke jaa.en kahan
tire siva to hamen koi aasra bhi nahin
Leave a Reply