• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zindagi Aa Tera Arman Badal Kar dekhen

Zindagi Aa Tera Arman Badal Kar dekhen

rumana-rumi

zindagi aa tira arman badal kar dekhen

dil men hai jo mire mehman badal kar dekhen

sham-e-ummid ke manind mila hai koi

hijr ki dhuup ka unvan badal kar dekhen

us ne bakhsha hamen eazaz shanasai ka

kyuun na ham apni hi pahchan badal kar dekhen

meri ankhon men nae rang ubhar aae hain

sain ghar ka sar-o-saman badal kar dekhen

aql gul khud ko hai samjhe hue jo khak-nashin

us ke dil ka ye kabhi maan badal kar dekhen

dosh dete hain har ik baat pe halat ko jo

apne andar ka vo insan badal kar dekhen

fan ki duniya men nai subh ka suraj bo kar

aao ham apna gulistan badal kar dekhen

ham ujala hain ujalon se mohabbat hai hamen

fann-e-takhliq tiri shaan badal kar dekhen

zehn ki jhiil men khil uttha mohabbat ka kanval

dil men jo gham ka hai tufan badal kar dekhen

‘rumi’ puuja vo mukammal nahin hone deta

man ke andar hai jo bhagvan badal kar dekhen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Aangan Se Ujala Kya Gaya

poet

Kabhi Bhul Kar Bhi Na Baat Ki Mujhe dil Se Aisa Bhula diya

Kabhi kanTon Ne Yun Chhili Hawaen

Mohabbat Aag Ban Jati Hai Sina Mein Nihan Ho Kar

poet

Dushmani Hai Na Kahin Yari Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet