junun-e-ishq ki ye fitna-samani nahin jaati
nahin jaati hamari chak-damani nahin jaati
musibat yuun kabhi duniya men pahchani nahin jaati
nahin aati bala jo sar pe vo maani nahin jaati
guman-e-bad na kar ai mohtasib rindon ki halat par
ki ho kar chak-daman pak-damani nahin jaati
nahin marta kabhi go bul-havas har ik pe marta hai
nahin jaati subuk-sar ki giran-jani nahin jaati
zyada duur sahil to nahin kuchh bahr-e-hasti ka
magar kashti kidhar jaa.e ki tughyani nahin jaati
hamare ghar ki virani se hai dil bastagi us ko
tum aa kar jab chale jaate ho virani nahin jaati
tamasha dekhne vaale to lakhon aate jaate hain
vahi jalve hain jalvon ki faravani nahin jaati
tiri tasvir a.ina hai meri chashm-e-hairat ka
nahin jaati in a.inon ki hairani nahin jaati
abhi nazron men phirta hai vo bazm-e-naz ka manzar
mire dil se tire jalvon ki arzani nahin jaati
hijabat-e-jahan se har ada chhan chhan ki aati hai
gharaz parde se un ki jalva-samani nahin jaati
mujhe samjha rahe hain aap kya ai naseh-e-mushfiq
mohabbat men kisi ki baat hi maani nahin jaati
rahega sha.iri ka naam ‘ḳhushtar’ rahti duniya tak
suḳhan-jui suḳhan-goi suḳhan-dani nahin jaati
Leave a Reply