tire gham ke siva har ek gham na-mo’tabar jaana
hamen aata hai tere naam par had se guzar jaana
ba-in-halat manzil tak pahunchna saḳht mushkil tha
ki jis ne karvan luuTa usi ko rahbar jaana
talash-e-sub.h-e-nau men sa.i-e-la-hasil ko kya kahiye
vo nikli ik shab-e-tira jise nur-e-sahar jaana
vahi be-gana-e-hosh-o-ḳhirad sabit hue hamdam
vo jin ko dida-var samjha jinhen ahl-e-nazar jaana
dayar-e-ishq men vo bhi maqam aa hi gaya aḳhir
jahan sar jhuk gaya apna tumhara sang-e-dar jaana
alam kya hai ma.al-e-zist ka hasil samajh lena
ḳhushi kya hai yahan halat ka qadre sanvar jaana
inhon ne aabru rakh li chaman men ashiyane ki
‘qamar’ ahl-e-gulistan ne jinhen be-bal-o-par jaana
Leave a Reply