rasta der tak sochta rah gaya
jaane vaale ka kyuun naqsh-e-pa rah gaya
aaj phir dab ga.iin dard ki siskiyan
aaj phir gunjta qahqaha rah gaya
ab hava se shajar kar raha hai gila
ek gul shaḳh par kyuun bacha rah gaya
jhuuT kahne laga sach se bachne laga
hausle miT ga.e tajraba rah gaya
hanste gaate hue lafz sab miT ga.e
ansuon se likha hashiya rah gaya
vaqt ki dhaar men bah gaya sab magar
naam divar par ik likha rah gaya
us ke dam se kahe sher main ne ‘hilal’
phuul is dhuup men jo khila rah gaya
Leave a Reply