gaaj har dil pe gire to kya karen kis se kahen
mal-o-zar apna luTe to kya karen kis se kahen
chhoḌ den duniya nahin aisa koi bandhan magar
umr ke is da.ere ko kya karen kis se kahen
yuun to hai mauqa.a naya naghma bane dilkash koi
dhun vahi har saaz pe ho kya karen kis se kahen
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-hali sabhi
vaqt kaaTe na kaTe to kya karen kis se kahen
is zamin se asman tak hai bala ki raushni
ban ke atish dil jale to kya karen kis se kahen
ham tabah hain to sarasar ghair pe ilzam hai
ghair bhi apna lage to kya karen kis se kahen
josh bhi tha valvale bhi kar guzarne ke magar
bas na kuchh apna chale to kya karen kis se kahen
Leave a Reply