Hosh Nahin Hai Dosh Ka Jalwa-Gah-E-Namaz Mein

hosh nahīñ hai dosh kā jalva-gah-e-namāz meñ

sar hī kā kuchh pata nahīñ sajda-e-be-niyāz meñ

sub.h-e-azal bhī be-naqāb jis kī nigāh-e-nāz meñ

haa.e vo sūrat-e-jamīl but-kada-e-majāz meñ

ishq kī zindagī kā raaz gum hai shikast-e-sāz meñ

ishrat-e-rūh DhūñDiye shorish-e-jāñ-gudāz meñ

juz dil-e-ishq-e-mo’atabar aur ko is kī kyā ḳhabar

ālam-e-rañg rañg hai parda-e-rāz raaz meñ

merī nigāh-e-shauq meñ vo bhī maqām hai jahāñ

husn kā bhī pata nahīñ apnī harīm-e-nāz meñ

kaise rukūa kyā sujūd kaise qayām kyā qu.uud

merī namāz kho ga.ī kaifiyat-e-namāz meñ

ai dil-o-jān-e-āshiqāñ maanā ki kuchh nahīñ yahāñ

tere sivā magar hai kyā dīda-e-imtiyāz meñ

nisbat-e-husn hai mujhe ishq se rabt hai mirā

sho.ala-e-barq-e-nāz huuñ vādī-e-soz-o-sāz meñ

‘ārzū’ merī ziist ab tishna-e-īn-o-āñ nahīñ

merā guzar hai āj-kal yaar kī bazm-e-nāz meñ

Leave a Comment