dahr ke andhe kuen men kas ke avaza laga
koi patthar phenk kar paani ka andaza laga
zehn men sochon ka suraj barf ki surat na rakh
kohr ke divar-o-dar par dhuup ka ghaza laga
raat bhi ab ja rahi hai apni manzil ki taraf
kis ki dhun men jagta hai ghar ka darvaza laga
kanch ke bartan men jaise surḳh kaghaz ka gulab
vo mujhe itna hi achchha aur tar-o-taza laga
pyaar karne bhi na paaya tha ki rusva.i mili
jurm se pahle hi mujh ko sang-e-ḳhamyaza laga
shahr ki saḌkon par andhi raat ke pichhle-pahar
mera hi saaya mujhe rangon ka shiraza laga
jaane rahta hai kahan ‘iqbal-sajid’ aaj kal
raat din dekha hai us ke ghar ka darvaza laga
Leave a Reply