miri be-qarari miri ah-o-zari ye vahshat nahin hai to phir aur kya hai
pareshan to rahna magar kuchh na kahna mohabbat nahin hai to phir aur kya hai
gham-e-zindagi nala-e-sub.h-gahi mire shaiḳh sahab ki vaahi tabahi
agar un ke hote vajud-e-ilahi haqiqat nahin hai to phir aur kya hai
tiri ḳhud-pasandi miri vaz.a-dari tiri be-niyazi miri dost-dari
junun-e-muravvat ba-har-rang taari musibat nahin hai to phir aur kya hai
gharibon ko bad-hal-o-majbur rakhna unhen fikrmand aur ranjur rakhna
unhen apna kahna magar duur rakhna ye hikmat nahin hai to phir aur kya hai
tiri raah men har qadam jaan dena musibat bhi aa.e to sar apne lena
mohabbat ki kashti ba-har-hal khena rifaqat nahin hai to phir aur kya hai
Leave a Reply