• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bhare Moti Hain Goya Tujh dahan Mein

Bhare Moti Hain Goya Tujh dahan Mein

poet

bhare moti hain goya tujh dahan men

ki dur-rezi tu karta hai sukhan men

bahar-ara vahi hai har chaman men

usi ki bu hai nasrin-o-saman men

na phir idhar udhar nahaq bhatakta

ki hai vo jalva-gar tere hi man men

jahan vo hai nahin vaan kufr o islam

abas jhagda hai shaikh o barhaman men

hui jaati hai paani sharm se shama

magar vo maah aaya anjuman men

chhudaya tha nipat mushkil se phir aah

dil atka us ki zulf-e-pur-shikan men

junun ne dast-kari aisi bhi ki

na tha goya gareban pairahan men

mara jaata hai jis ghairat men dariya

gira kis ka hai dil chah-e-zaqan men

magar parvana jal kar ho gaya khaak

ki ro-ro shama jalti hai lagan men

jo sunte the dam-e-isa ka eajaz

so dekha ham ne vo tere sukhan men

na dekha us pari-jalva ko ‘bedar’

raha mashghul tu yaan ma-o-man men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sara-shagufta

Kaise Tahalta Hai Chand

Inhin Ulma Ke Hathon Din Ko Dinar Hona Hai

Jo KHas-E-Badan Tha Jala Bahut Kai Nikhaton Ki Talash Mein

Aatishin Sailab Mein Jab Ruh Dali Jaegi

poet

Milo to Aise Andheron Ko Bhi Pata Na Lage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet