• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lutate Hain Wo Bagh-E-Ishq Jae Jis Ka Ji Chahe

Lutate Hain Wo Bagh-E-Ishq Jae Jis Ka Ji Chahe

poet

lutate hain vo bagh-e-ishq jaae jis ka ji chahe

gul-e-dagh-e-tamanna luut laae jis ka ji chahe

charagh-e-yas-o-hasrat ham hain mahfil men hasinon ki

jalae jis ka ji chahe bujhae jis ka ji chahe

kasi maashuq ki koi khata main ne nahin ki hai

satane ko zabardasti satae jis ka ji chahe

ba-hal shauq-e-shahadat men kiya hai ham ne khuun apna

hamare shauq se purze udaae jis ka ji chahe

do-alam men nahin ai yaar mujh sa shefta tera

mohabbat yuun jatane ko jatae jis ka ji chahe

khushi o na-khushi mauquf hai apni hasinon par

hansae jis ka ji chahe rulae jis ka ji chahe

sadaen surkh-rui deti hai ganj-e-shahidan men

lahu ka menh barasta hai nahae jis ka ji chahe

jo ho jaega parvana charagh-e-husn ka us ke

karega naam raushan lau lagae jis ka ji chahe

ajaib lutf hain ku-e-tavakkul ki faqiri men

khudai hai yahan dhuni ramae jis ka ji chahe

koi ghuncha na pahunchega tire husn-e-tabassum ko

sar-e-maidan chaman men muskurae jis ka ji chahe

jagah us shama-ru ne di hai parvanon ke lashkar ko

sar-e-maidan chaman main muskurae jis ka ji chahe

pasheman ghuncha-o-gul honge mere zakhm-e-khandan se

hanse ji chahe jis ka muskurae jis ka ji chahe

ata ki nahr-e-gulshan us ne apne ishq-bazon ko

ijazat di yahan nikhre nahae jis ka ji chahe

khushi ho ho ke khud sayyad kahta hai anadil se

bahar aai hui hai chahchahae jis ka ji chahe

na dekhenge kisi betab ko vo aankh utha ke bhi

kaleje ko masose tilmilae jis ka ji chahe

marenge us pe kalma padh ke us ka jaan ham denge

khudai bhar men ham ko azmae jis ka ji chahe

ajab khushbu hai gul-daste men shauq-o-zauq ke us ki

karega vajd pairahan basae jis ka ji chahe

dua-e-maghfirat tum do utare qabr men koi

padho talqin tum shana hilae jis ka ji chahe

‘sharaf’ dam todte hain ik pari-ru ki judai men

ajab aalam hai un ka dekh aae jis ka ji chahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-allahabadi

Apni Girah Se Kuchh Na Mujhe Aap dijiye

poet

Gulon Ka Daur Hai Bulbul Maze Bahaar Mein luT

afzaal-firdaus

Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai

poet

baKHt Ko Roya Kiye Aur Aashiyan Dekha Kiye

ahmad-zafar

Kya Pata Kis Jurm Ki Kis Ko Saza deta Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet