• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rang Hai Ai Saqi-E-Sarshaar Qiasar-Bagh Mein

Rang Hai Ai Saqi-E-Sarshaar Qiasar-Bagh Mein

poet

rang hai ai saqi-e-sarshar qiasar-bagh men

phuul piite hain tire mai-khvar qiasar-bagh men

dekh kar rangin tira rukhsar qaisar-bagh men

gul se bulbul ho gae bezar qaisar-bagh men

saath hai ik ghairat-e-gulzar qaisar-bagh men

bulbulon ko de rahe hain khaar qaisar-bagh men

baten bulbul ko suna shaida-e-rukh gul ko bana

kabk ko chal kar dikha raftar qiasar-bagh men

surat-e-idris jannat se nikalte hain kahin

ab to laaya tala-e-bedar qaisar-bagh men

shahid-e-gul motiyon men lad rahe hain aj-kal

abr-e-tar rahta hai gauhar-bar qaisar-bagh men

bulbulen gul se khafa hon qumriyan shamshad se

sair ho chaliye jo aap ai yaar qaisar-bagh men

kis tarah huron ko la kar khuld se dikhlaiye

kya bahar aai hai ab ke baar qaisar-bagh men

dekh paaen mere siine ke agar gul-ha-e-dagh

bulbulen hongi gale ka haar qaisar-bagh men

mausam-e-gul men yahin josh-e-junun ki hai bahar

rang la kar aenge sau baar qaisar-bagh men

ai sanam allah re jalva tira hairat-faza

but bane hain sahib-e-zunnar qaisar-bagh men

vo maraz khoe tabibon ki bhi ankhen khul gaiin

hai masiha nargis-e-bimar qaisar-bagh men

khuld men aa kar sharab-e-khuld se bhi ijtinab

jam-e-mai se zahida inkar qaisar-bagh men

qamat-e-bala ka rutba hai do-bala sarv se

turra hai sumbul pe zulf-e-yar qaisar-bagh men

daur men sultan-e-alam ki hain ye kaifiyyaten

ghairat-e-jam hai har ik mai-khvar qaisar-bagh men

dekh kar ru-e-musaffa yaar ka hairat hui

aaine hain pusht-bar-divar qiasar-bagh men

hai pae abr-e-bahari ye mahall-e-abru

aae zer-e-saya-e-divar qaisar-bagh men

dekh kar tere rukh-e-rangin ko ai rashk-e-bahar

gul hue hain baghban par baar qaisar-bagh men

jaiye vaqt-e-masihai hai ai ruh-e-ravan

muntazir hai nargis-e-bimar qiasar-bagh men

tujh se aur gul se hui bahs-e-jamal ai ghuncha-lab

mujh se bulbul se hui takrar qaisar-bagh men

nikhat-e-gul se ‘saba’ ham mast rahte hain mudam

bada-e-gul-gun nahin darkar qiasar-bagh men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jab Apne Pairahan Se KHushbu Tumhaari Aai

Ye Faisla to Bahut Ghair-Munsifana Laga

poet

Sabr-O-Taslim Ki Sipar Bhi Nahin

Sae Chamak Rahe the Siyasat Ki Baat Thi

Dil-Mohalla Ghulam Ho Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet