Bahaar Aane Ki Ummid Ke KHumar Mein Tha

bahār aane kī ummīd ke ḳhumār meñ thā

ḳhizāñ ke daur meñ bhī mausam-e-bahār meñ thā

jise sunāne gayā thā maiñ zindagī kī navīd

vo shaḳhs āḳhirī hichkī ke intizār meñ thā

sipāh-e-aql-o-ḳhirad mujh pe hamla-āvar thī

magar maiñ ishq ke mazbūt-tar hisār meñ thā

mirā nasīb chamaktā bhī kis tarah āḳhir

mirā sitārā kisī dūsre madār meñ thā

uThā ke haath duā māñgnā hī baaqī hai

vagarna kar chukā sab kuchh jo iḳhtiyār meñ thā

use to is liye chhoḌā thā vo nihattā hai

ḳhabar na thī ki vo mauqe ke intizār meñ thā

vo kah rahā thā mujhe naaz apne ijz pe hai

ajab tarah kā ġhurūr us ke inkisār meñ thā

Leave a Comment