gali men bakht ke un ka bhi kuchh qissa nikal aaya
hui thi sulh kis mushkil se phir jhagda nikal aaya
main apne shor ke sadqe ki dekha aaj to us ko
bhara ghusse men ghar se shokh be-parva nikal aaya
nadamat jo hui den galiyan afsana-goyon ko
vo sunte the kahani zikr kuchh mera nikal aaya
kisi ka ghar nahin ye to gali hai soch o zalim
ghar ukta kis liye hai bhuul kar is ja nikal aaya
miri taqdir badli zoaf se avaz kya badli
vo apne dil men dushman ki sada samjha nikal aaya
jo sach puchho to sadqe men tumhare aks aariz ke
kanval phule dilon ke rang ghunchon ka nikal aaya
‘nasim’ un ko jo apna jazb-e-khatir is taraf laaya
gale mil mil ke roe hausla dil ka nikal aaya
Leave a Reply