• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qillat KHulus Ki Hai Mohabbat Ka Kal Hai

Qillat KHulus Ki Hai Mohabbat Ka Kal Hai

qillat ḳhulus ki hai mohabbat ka kaal hai

is shahr-e-na-sipas men jiina muhal hai

peḌon pe chandni ke hayule hain mahv-e-raqs

kamre men tirgi ki lakiron ka jaal hai

sanson ka rabt jaise musalsal azaab ho

vo shaḳhs kya jiye jise tera ḳhayal hai

lamhon ne chhin li hai ruton se shaguftagi

ye saal mausamon ke taghayyur ka saal hai

ab to shikast-e-jan ke amal se najat de

ye na-tavan vajud dukhon se niDhal hai

chiḌiyan chahak chahak ke pareshan ho ga.iin

kavvon ka shor ghar ki faza ka vabal hai

phulon ka lams chand ki ThanDak bhi hech hai

vo ḳhush badan to aap hi apni misal hai

aa phir se mere pyaar ki taqdis ban ‘niyaz’

aa kanpte labon pe tira hi saval hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afzal-ahmad-syed

Hua Hai Qata Mera dast-e-Mojaza Tujh Pe

Kisi Zamin Se Kisi Aasman Se Aate Hain

Nigah-E-Shauq Se Kab Tak Muqabla Karte

maimoona-abbas-khan

Jahan-Zadi Ka Status

Safar Bhi Dur Ka Hai Rah Aashna Bhi Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet