• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Waqt Ke Katahre Mein

Waqt Ke Katahre Mein

bashar-nawaz

suno tumhara jurm tumhari kamzori hai

apne jurm pe

rang-birange lafzon ki be-jan ridaen mat daalo

suno tumhare khvab tumhara jurm nahin hain

tum khvabon ki taabir se dar kar

lafzon ki tarik gupha men chhup rahne ke mujrim ho

tum ne havaon ke ziine par

paanv rakh kar

qaus-e-quzah ke rang samete

aur khalaon men udte

farzi taron sayyaron ki baten kiin

tum mujrim ho us nannhi konpal ke jis ne

subh ki pahli shokh kiran se sargoshi ki

tum mujrim ho us angan ke jis men shayad

ab bhi tumhare bachpan ki maasum shararat zinda hai

tum mujrim ho tum ne apne paanv se lipti mitti ko

ek izafi chiiz samajh kar jhaad diya

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

noon-meem-rashid

Aa Lagi Hai Ret

Muqabla Ho to Sine Pe War Karta Hai

kavita-kiran

Aaina dekhta Rahta Hai Sanwarne Wala

KHak Thi KHak-Dan Mein Kya Tha

Yaadon Ke Ambar Lage The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet