kya kahun ki kya huun main
sang-e-be-sada huun main
dard-e-la-dava huun main
ah-e-na-rasa huun main
dard ki dava huun men
pyaar ki sada huun men
jis ki ibtida ho tum
us ki intiha huun men
ḳhud hi rah-rau bhi huun
ḳhud hi rahnuma huun main
sochna fuzul hai
phir bhi sochta huun main
in pe hai nazar meri
ḳhud ko dekhta huun main
jaane kya hua mujhe
ḳhud se bhi ḳhafa huun main
aao ai ‘vali’ dekho
kaisa a.ina huun main
Leave a Reply