apne dil ko sambhal sakta huun
tujh ko hairat men Daal sakta huun
vaz.a-dari ka paas hai varna
main bhi kichaḌ uchhal sakta huun
kam na samjho ye atish-e-dil hai
main samundar ubaal sakta huun
toḌ duun ahani usuul apne
phir main sikke bhi Dhaal sakta huun
jaane kyuun hai yaqin qaza ko bhi
main duaon se Taal sakta huun
main tujhe janta huun pichhe se
teri pagḌi uchhal sakta huun
koi patthar ho koi qatil ho
sab ke aansu nikal sakta huun
main ne paida nahin kiya lekin
tere har gham ko paal sakta huun
main jo ‘aḳhtar’ huun ek suraj huun
chand apna ujaal sakta huun
Leave a Reply