gard apni utarta huun zara
ye shab-o-roz jhaḌta huun zara
kar-e-duniya koi ri.ayat kar
fursat-e-ḳhvab chahta huun zara
ab main itna bhi sabr vaala nahin
gaahe gaahe karahta huun zara
ik to main chahta huun tanha.i
ik tira saath chahta huun zara
karne vaala hai ik sitara kalam
thoḌi der aur jagta huun zara
Leave a Reply