sunte hi dil ho gaya us yaar ka asrar mast
hoshiyari kya kare jab dil ho sau sau baar mast
shohra-e-afaq us mah se ye hai maston ka haal
phenkte hain sar se apne khaak par dastar mast
sar-barahna be-sar-o-saman jo dil-afgar hain
bazm-e-mastan men vahi mashhur hain sardar mast
be-khudi divangi men is tarah sarshar hain
bhulte hain aap ko ho kafir o din-dar mast
kab unhen dair-o-haram yaad aae hai ai zahido
ku-e-janan men hazaron ho gae hoshyar mast
kaifiyat donon jahan ki hai vahan hasil tamam
jab nazar aaven kisi ja par kahin do-char mast
haal aa jaae abhi sab sakinan-e-charkh ko
tu bhi ho jaave ai ‘miskin’ sun ke ye ashar mast
Leave a Reply