
Kausar Siddiqi
yakta-e-rozgar hamara makan tha
niche zamin thi sar pe khula asman tha
ab shaḳh-e-ashiyan hai na tinke nasib hain
aa.ega aisa vaqt bhi kis ko guman tha
aaya jo inqalab to sab kuchh badal gaya
pahle yahi zamin thi yahi asman tha
tanha.iyon ne farz-e-ziyafat ada kiya
kal raat apne ghar hi men main mehman tha
aaj un pe multafit hai yahi inqalab hai
ham par bhi ye zamana kabhi mehrban tha
us ko saza de ham ko bari kis tarah kare
munsif ka imtihan hamara bayan tha
‘kausar’ ḳhuda se koi shikayat na kijiye
ye sochiye ki pahle vo kyon mehrban tha

Leave a Reply