• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chashm-E-Zahir Se ruKH-E-Yar Ka Parda Dekha

Chashm-E-Zahir Se ruKH-E-Yar Ka Parda Dekha

poet

chashm-e-zahir se ruḳh-e-yar ka parda dekha

ankhen jab phuuT ga.iin tab ye tamasha dekha

dekhna ye hai ki ham ne tumhen kaisa chaha

puchhna ye hai ki tum ne hamen kaisa dekha

phir jalao.ge kabhi talib-e-didar ka ḳhat

saikḌon ankhon se us ne tumhen dekha dekha

kaan vo kaan hai jis ne tiri avaz suni

aankh vo aankh hai jis ne tira jalva dekha

aap kahte hain ki ja dekh liya dil tera

kahiye to apne siva dil men mire kya dekha

tum ḳhabar bhi na hue ḳhana-ba-doshon se kabhi

ham ne ghar phunk diya sab ne tamasha dekha

jin se hon soḳhta-janon ke kaleje ThanDe

unhin jalvon se ‘hasan’ tuur ko jalta dekha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahryar

Ajib Kaam

asif-ud-daula

Puchhte Kya Ho Mere Tum dil-E-diwane Se

Suhane Sapne Aae Hain

Har Rose Hi Imroz Ko Farda Na Karoge

Naz-E-but-E-Mahwash Par Qurban Dil-O-Jaan Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet