dilon men aag labon par gulab rakhte hain
sab apne chehron pe dohri naqab rakhte hain
hamen charagh samajh kar bujha na paoge
ham apne ghar men kai aftab rakhte hain
bahut se log ki jo harf-ashna bhi nahin
isi men khush hain ki teri kitab rakhte hain
ye mai-kada hai vo masjid hai vo hai but-khana
kahin bhi jaao farishte hisab rakhte hain
hamare shahr ke manzar na dekh paenge
yahan ke log to ankhon men khvab rakhte hain
Leave a Reply