tavil raat ho aisi kinare bhi na rahen
hamare saath men chalte sitare bhi na rahen
talash meri kisi rahguzar talak jaa.e
na jiit paa.e agar us ko haare bhi na rahen
hava utaar badan mera aur chaman se nikal
le chal udhar ki jidhar ye nazare bhi na rahen
mujhe ujaaḌ chuki andhiyan palaT aa.iin
hai un ko fikr bhala ham hamare bhi na rahen
jise hai jaana chala jaa.e umr bhar ke liye
ye roz roz ke ‘tejas’ ḳhasare bhi na rahen
Leave a Reply