ye baat vaqt se pahle kahāñ samajhte haiñ
ham ik sarā.e ko apnā makāñ samajhte haiñ
yaqīñ kisī ko nahīñ apnī be-sabātī kā
sab apne aap ko shāh-e-zamāñ samajhte haiñ
bas ik uḌaan bharī hai abhī ḳhalāoñ tak
isī ko ahl-e-zamīñ āsmāñ samajhte haiñ
hameñ bhī khīñchtī hai is keī har kashish lekin
ye ḳhāk-dāñ hai ise ḳhāk-dāñ samajhte haiñ
ye log itne fasurda isī liye to nahīñ
ki dūsroñ ko bahut shādmāñ samajhte haiñ
ḳhudā unheñ bhī ho taufīq is ibādat kī
mohabbatoñ ko jo kār-e-ziyāñ samajhte haiñ