bayaban-zad koi kya kahe ḳhud be-makan hai
samundar ai samundar tera apna ghar kahan hai
vafa ka ahd kya bandhun abhi ai dast-e-ḳhushbu
abhi badal hina-pa hai abhi suraj javan hai
ajab afsun-sifat saara na chhup kar hai na zahir
jazira aisa soya hai vo dariya sa ravan hai
hava hai munharif ḳhud apni hi tahrir se kyuun
haqiqat kya yahi hai vo bhi bilkul be-aman hai
saval aisa ki is ka lab hilana bhi tha mushkil
ye puchha tha ki ḳhushbu basta hai ya ravan hai
koi to ham-suḳhan hota ki us se baat karte
batate khul ke vo kya lafz hai jo be-bayan hai
mire paas aa kabhi ai lamha-e-harf-e-masarrat
ki main bhi dekh luun aḳhir tu kitna ḳhush-zaban hai
hava ka haath kya atish-e-badan hai jo saf-e-gul
ho mausam koi bhi ye to vahi sho.ala-ba-jan hai
jo sab kuchh dekh kar bhi dekhne deta nahin kuchh
kahun ‘manzur’ kya ankhon men ye kaisa dhuan hai
Leave a Reply