• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaun Atha Mein Utre Meri Kis Pe Khule Hangam Mera

Kaun Atha Mein Utre Meri Kis Pe Khule Hangam Mera

kaun atha men utre meri kis pe khule hangam mira

ashk se kaise bhanp sakoge ḳhuun men hai kohram mira

koi to saa.at guzre jis men do tahziben vasl karen

khinch luun main zunnar badan par bandh le tu ehram mira

bach ke kahan jaoge aḳhir tum itne chalak nahin

dasht ke chappe chappe par to bichha hua hai daam mira

hare-bhare insan ko kaise hijr ki aag ne zard kiya

ab bhi ishq karega pyare dekh to le anjam mira

aaya huun bazar men bikne main ḳhud apni marzi se

varna kis men dam hai itna kaun laga.e daam mira

niind ki ye imdad hamesha ishq men pahunchana mujh ko

aankh na ho tujh husn se ḳhali ḳhvab na ho nakam mira

sab ne zaban pe vird ki surat mere sher saja.e hain

kaan laga kar sun le har su guunj raha hai naam mira

jaane kis ke ḳhauf se ghar par vahshat taari rahti hai

kaanp rahi hai saqf musalsal laraz raha hai baam mira

chhoḌ guzishta ahd ki baten kaun mara aur kaun jiya

mujh se mil main ahd-e-ravan huun aurangzeb hai naam mira

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Baadshahi Ho Ki Daryuza-Gari Ka Mausam

poonam-yadav

dard Ki Ek Kitab Hai Koi

Dun Main Taskin Ruh Ko Apni

Qadam Qadam Pe Jo Apna Nishan Banate Hain

adeem-hashmi

Hum Bahr-e-Haal dil O Jaan Se Tumhaare Hote

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet