• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Mehrban Ho to Sahra Bhi Gulistan Ho Jaen

Wo Mehrban Ho to Sahra Bhi Gulistan Ho Jaen

vo mehrban ho to sahra bhi gulistan ho jaa.en

agar ḳhafa ho to barham sitar-gan ho jaa.en

hava.en shauq samundar ki mehrban ho jaa.en

talab safina ho arman badban ho jaa.en

ba-yas-e-dosti itne bhi ab na do ilzam

ki ham ḳhud apni taraf se bhi bad-guman ho jaa.en

qalandaron ke liye shahr kya hai sahra kya

gharaz to Thor Thikanon se hai jahan ho jaa.en

tumhari yaad kare aise dil men ghar apna

ham apne ghar men ba-tadrij mehman ho jaa.en

tiri raza rahi shamil to is masafat men

sulagte dasht ki dhupen bhi sa.eban ho jaa.en

jo ho yaqin to bas ik charagh kaafi hai

na ho to laakh mah-o-mehr ra.egan ho jaa.en

chalo shigaf bana.en fasil-e-vaqt men ham

ajab nahin ki baham saare raftagan ho jaa.en

jo said-e-dam-e-junun the vo pa ga.e manzil

asir-e-danish-o-binish na be-nishan ho jaa.en

fuzul Thahre tag-o-taz-e-umr bhi saari

hatheliyon ki lakiren bhi ra.egan ho jaa.en

vafa ki jins hain ‘irfan’ ham bhi arzan hain

ḳharid lo kahin aisa na ho garan ho jaa.en

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chain Ghar Mein Na Kabhi Tere Nagar Mein Paun

Meri Har Baat Pe Be-Baat KHafa Hote Ho

Wo Talluq Zindagi Jis Mein Raha Bil-Wasta Main

poet

Soz-E-Parwana Nur-E-Din-E-Shama

Raat Be-Parda Si Lagti Hai Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet