apni saari kavishon ko ra.egan main ne kiya
mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya
sar pe jab saaya raha koi na dauran-e-safar
us ki yadon ko phir apna sa.eban main ne kiya
ab yahan par saans tak lena mujhe dushvar hai
kis tamanna par zamin ko asman main ne kiya
lamha lamha vaqt ke hathon kiya ḳhud ko supurd
sab ganva baiTha to phir fikr-e-ziyan main ne kiya
jab na us ke aur mere darmiyan kuchh bhi raha
ḳhud ko hi phir us ke apne darmiyan main ne kiya
donon chup the zor se chalti hava ke samne
phir achanak ḳhushk patton ko zaban main ne kiya
Leave a Reply