hari thi shakh to baitha na us pe panchhi kyuun
lage hai ujde hue khvab si ye basti kyuun
mujhe khabar hai mire ghar men saanp ankhen hain
vagarna gham ke khazine chhupa ke rakhti kyuun
tumhi se tohmat-e-alam ko nisbaten mausum
tumhen ko kahte hain sab log sab se achchhi kyuun
khizan ko mere hi khvabon ke naam kyuun likkha
zamin ne apni ye daulat mujhi ko saunpi kyuun
mira vajud bhi kya kuchh khuda se milta hai
saval-e-shak se hai begana meri hasti kyuun
ye ashk silsila-e-jan ke bolte lab hain
chhupa ke daulat-e-nayab tum ne rakkhi kyuun
vajud apna kise kab aziiz tha ‘nahid’
hui hai shaam se pahle hi shaam gahri kyuun
Leave a Reply