hazar haif chhuta saath ham-nashinon ka
makan to hai pe thikana nahin makinon ka
khila jo baagh men ghuncha sitara-dar khila
gulon ne naqsh utara hai mah-jabinon ka
hai apni apni tabiat pe husn-e-shai mauquf
main kyuun huun banda-e-be-dam un hasinon ka
nazar ka kya hai bharosa nazar pe hain parde
khayal arsh pe jaata hai dur-binon ka
zamin-e-shor ho ya ho zamin-e-sher ai dil
nahin hai koi kharidar in zaminon ka
bahisht-e-dahr hai apna vatan khuda ki qasam
juda juda hai tarana sabhi mahinon ka
kisi ko maan liya dil ne jab to maan liya
na dakhl do yahi maslak hai khush-yaqinon ka
jo ho musavvir-e-fitrat misal kya us ki
guman na chahiye insan pe abginon ka
zara nikal ke to duniya se dekh ai insan
pata na din ka na andaz hai mahinon ka
sikha diya mujhe bach bach ke rasta chalna
khuda bhala kare ai ‘shad’ nukta-chinon ka
Leave a Reply