• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Jo Kaam Rah Gae Hain Unhen Rakh Ke Ja Rahi Hun

Ye Jo Kaam Rah Gae Hain Unhen Rakh Ke Ja Rahi Hun

najma-shaheen-khosa

ye jo kaam rah gae hain unhen rakh ke ja rahi huun

miri zindagi main tujh se bahut thak ke ja rahi huun

yahi dard ke basere yahi hijr ke andhere

ye jo siskiyan hain saari main thapak ke ja rahi huun

faqat ek saans mohlat magar imtihan itne

ye jo talkhiyan thiin teri unhen chakh ke ja rahi huun

miri pyaas ka muqaddar to ye tishnagi hi thahri

gham-e-ishq ki thi chhagal main chhalak ke ja rahi huun

jahan us ne mud ke dekha vahin zindagi ruki thi

ye jo hairaten hain dil ki main jhatak ke ja rahi huun

tiri khushbuon se mahken mire khvab ke jazire

yahi aarzu thi lekin main thapak ke ja rahi huun

tire lams se shanasa nahin ungliyan ye meri

tire hijr ki zamin par main sisak ke ja rahi huun

miri zindagi tu kah de kabhi ja ke charagar se

ki ye khvab ka hai madfan main bilak ke ja rahi huun

kisi aag men jali tu kisi shaam men dhali main

nahin ruuh to badan men so thithak ke ja rahi huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Hai to Tere Wasl Ke Arman Bahut Hain

noshi-gilani

Tujhse Ab Aur Mohabbat Nahin Ki Ja Sakti

aatish-indori

Baat Bachchon Ki Thi Ladne Ko Siyane Nikle

poet

Kaun Dil Hai Ki Tere Dard Mein Bimar Nahin

meer-mehdi-majrooh

Rahban Ka Qais Ka Mahbub Hai Tu

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet