agar vo mil ke bichhadne ka hausla rakhta
to darmiyan na muqaddar ka faisla rakhta
vo mujh ko bhuul chuka ab yaqin hai varna
vafa nahin to jafaon ka silsila rakhta
bhatak rahe hain musafir to raste gum hain
andheri raat men dipak koi jala rakhta
mahak mahak ke bikharti hain us ke angan men
vo apne ghar ka daricha agar khula rakhta
agar vo chand ki basti ka rahne vaala tha
to apne saath sitaron ka qafila rakhta
jise khabar nahin khud apni zaat ki ‘zarrin’
vo dusron ka bhala kis tarah pata rakhta
Leave a Reply