zamzama iztirab kuchh bhi na tha
ishq-e-ḳhana-ḳharab kuchh bhi na tha
mera sab kuchh tha sirf ek saval
aur is ka javab kuchh bhi na tha
saans tak to gine-chune hue the
kuchh na tha be-hisab kuchh bhi na tha
sajda-e-shukr ne bachaya hai
varna mera savab kuchh bhi na tha
ab tujhe dekh kar ye jaana hai
vo jo dekha tha ḳhvab kuchh bhi na tha
Leave a Reply