• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai

Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai

husn achchha hai mohammad ka kamal achchha hai

jo ḳhuda ko bhi hai pyara vo jamal achchha hai

bazm-e-kaunain murattab hui teri ḳhatir

vaqt hai tere liye is men jo maal achchha hai

mujh se puchhe to koi tere ghulamon ka uruuj

badshahon se bhi rutbe men bilal achchha hai

gham uThane ki hai aadat miri tab-e-sani

main to kahta huun ki duniya men malal achchha hai

qissa-e-tur se vaqif hai zamana saara

koi kis munh se kahe shauq-e-jamal achchha hai

bazm men dekh ke hasrat se kisi ko chup huun

dar-haqiqat yahi andaz-e-saval achchha hai

jis men ik din bhi mayassar ho mulaqat ki raat

mere nazdik to vo maah vo saal achchha hai

lutf deta hai mujhe tera tasavvur shab-e-gham

sach kaha karte hain achchhon ka ḳhayal achchha hai

jab se dekhe hain tumhare lab-o-abru ham ne

na kaha hai na kahenge ki hilal achchha hai

tujh se haT kar kahin paḌti hi nahin meri nazar

yuun to yusuf ka bhi hone ko jamal achchha hai

ashiqon ke liye kis kaam ka hai sabr-o-qarar

jo tire gham men rahe muztarib haal achchha hai

us ne dekha hi nahin qamat-e-zeba tera

jo ye kahta ho ki gulshan men nihal achchha hai

phir vahi zikr hai arbab-e-karam ka ‘rasiḳh’

ham samajhte hain ye andaz-e-saval achchha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chamka Hai Yun Nasib Ka Tara Kabhi Kabhi

dagh-dehlvi

Kahte Hain Jis Ko Hur Wo Insan Tumhin To Ho

poet

Ashk-Uftada Nazar Aate Hain Sare dariya

poet

Zindagi Mujhko Meri Nazron Mein Sharminda Na Kar

Nai Zamin Naya Aasman Banana Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet