• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahan Hum Rahe Phir Kahan dil Rahega

Kahan Hum Rahe Phir Kahan dil Rahega

poet

kahan ham rahe phir kahan dil rahega

isi tarah gar tu muqabil rahega

khuli jab girah band-e-hasti ki tujh se

to uqda koi phir na mushkil rahega

dil-e-khalq men tukhm ehsan ke bo le

yahi kisht-e-duniya ka hasil rahega

hijab-e-khudi uth gaya jab ki dil se

to parda koi phir na haael rahega

na pahunchega maqsad ko kam-himmati se

jo salik talabgar-e-manzil rahega

na hoga tu agah irfan-e-haq se

gar apni haqiqat se ghafil rahega

khafa mat ho ‘bedar’ andesha kya hai

mila gar na vo aaj kal mil rahega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Shishe Dil Ke Jo Bikhre Hue Hain

sauda-mohammad-rafi

Har Sang Mein Sharar Hai Tere Zuhur Ka

shabnam-shakeel

ye silsile bhi rifaqat ke kuchh ajib se hain

Zindagani Ka Bana Lije Chalan Husn-E-Suluk

Ye Bhi Kya Kam Hai Ki Hum Betab Haalat Mein Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet