fareb-e-jalva kahan tak ba-ru-e-kar rahe
naqab uThao ki kuchh din zara bahar rahe
ḳharab-e-shauq rahe vaqf-e-intizar rahe
ab aur kya tire vadon ka e’tibar rahe
main raz-e-ishq ko rusva karun ma.az-allah
ye baat aur hai dil par na iḳhtiyar rahe
chaman men rakh to raha huun bina nasheman ki
ḳhuda kare ki zamana bhi sazgar rahe
junun ka ruḳh hai harim-e-hayat ki janib
ilahi parda-e-auham-e-e’tibar rahe
Leave a Reply