hai muamma ya kahani ishq hai
aa.ine se ḳhud-kalami ishq hai
hanste hanste ro paḌe phir hans diye
kya yahi aadat purani ishq hai
ik tamanna ne jagaya tha junun
us junun ki pasbani ishq hai
zikr us ka na-mukammal hai magar
ḳhamoshi ki tarjumani ishq hai
maut ke sab zaviye paḌhti hui
ham sabhi ki zindagani ishq hai
us ki jab shirin-bayani ko suna
maan baiThe javedani ishq hai
Leave a Reply