tu ne siine ko jab tak ḳhalish di na thi tu ne jazbon ko jab tak ubhara na tha
main vo dariya tha jis men ki lahren na thiin main vo qulzum tha jis men ki dhara na tha
tere aage na yaran-e-ḳhud-sar jhuke teri chaukhaT se bhage to dar dar jhuke
us jagah dil jhuke us jagah sar jhuke bandagi ke siva koi chara na tha
ashk moti na the bah ga.e bah ga.e hanste hanste ye tum aaj kya kah ga.e
yaad kar ke vo din ham bhi chup rah ga.e jab in ankhon men aansu gavara na tha
saaz fariyad ke dil ne chheḌe na the hijr aur vasl ke ye bakheḌe na the
ham ne daman ke baḳhiye udheḌe na the tum ne zulfon ko apni sanvara na tha
tujh men dariya koi kis sahare chale main jo pachchhim to purab ko dhare chale
meri kashti kinare kinare chale teri maujon ko ye bhi gavara na tha
dekh parvanon ke raqs-e-betab ko sham.a aane na de aankh men ḳhvab ko
ek jhapki si aa.i thi mahtab ko aankh kholi to koi sitara na tha
ek tannur se sho.ale uTTha kiye aag jalti rahi log taapa kiye
duur baiThe vo pahlu bachaya kiye jin ki qismat men koi sharara na tha
donon afsana-ḳhvan gird mahmil ke the qais sahra ka tha ḳhizr manzil ke the
‘maz.hari’ bhi ghulam apne hi dil ke the in divanon men koi tumhara na tha
Leave a Reply