ḳhali hai talab-garon se bazar-e-tamanna
aata hi nahin koi ḳharidar-e-tamanna
har chand ki rahta hai vo bezar-e-tamanna
daman men sameTe hai magar ḳhar-e-tamanna
sab apni ḳhamoshi ka lahu chaaT rahe hain
karta hi nahin ab koi iz.har-e-tamanna
is qasr-e-havas se koi bahar nahin aata
kahne ko to har shaḳhs hai bezar-e-tamanna
paivand-e-zamin kar na saka sail-e-bala bhi
hai sar-ba-falak aaj bhi divar-e-tamanna
koi bhi nahin kam hai kisi se yahan ‘aḳhtar’
har shaḳhs hai is shahr men shahkar-e-tamanna
Leave a Reply