asar kare na kare sun to le miri fariyad
nahin hai daad ka talib ye banda-e-azad
ye musht-e-khak ye sarsar ye vusat-e-aflak
karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-ijad
thahar saka na hava-e-chaman men khema-e-gul
yahi hai fasl-e-bahari yahi hai bad-e-murad
qusur-var gharib-ud-dayar huun lekin
tira kharaba farishte na kar sake abad
miri jafa-talabi ko duaen deta hai
vo dasht-e-sada vo tera jahan-e-be-buniyad
khatar-pasand tabiat ko sazgar nahin
vo gulsitan ki jahan ghaat men na ho sayyad
maqam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin
unhin ka kaam hai ye jin ke hausle hain ziyad
Leave a Reply