• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Wo Aatish-E-Nafas Hun Aag Abhi

Main Wo Aatish-E-Nafas Hun Aag Abhi

poet

main vo atish-e-nafas huun aag abhi

khirman-e-barq men laga dunga

rutho mujh se na vo bala huun main

roni surat ko bhi hansa dunga

tu uthae jo khanjar-e-pur-kham

gardan apni vahin jhuka dunga

aah se arsh ko hila dunga

kungar-e-charkh ko jhuka dunga

na chalo mujh se tum raqibon chaal

ungliyon par tumhen nacha dunga

vaqt rone ke ah-e-sozan se

daman-e-abr ko jala dunga

aage mere na shekhi maar ai shaikh

raat ka majra suna dunga

aah ko meri be-asar na kaho

main tamasha abhi dikha dunga

tum jo har rose kahte ho mar-mar

ek din mar ke bhi dikha dunga

dusre ko jo doge dil men bhi

dil ke naqsh-e-vafa mita dunga

shaikh chal to sharab-khane men

main tujhe aadmi bana dunga

‘mashriqi’ de agar vo jam-e-sharab

dil se gham main abhi mita dunga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab Is Se baDh Ke Mujhe Aur Kya Suhulat Ho

Jab uThaya Hai Jam-E-Sharab-E-Kuhan

Kuchh Silsile Falak Ke paDe Hain ujaD Se

poet

Mare dil Bich Naqsh-E-Naznin Hai

Qismat Mein Agar Judaiyan Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet