ik sard-jang ka hai asar mere khuun men
ehsas ho raha hai december ka june men
kis ne hilai aaj ye zinjir-e-agahi
ek shor sa bapa hai mere andarun men
ye aur baat khud ko bikharne nahin diya
yaden khalal to daal rahin thiin sukun men
mera tumhare hijr ne ye haal kar diya
shab ko tumhari shakl nazar aai moon men
tohfa mire khulus ne aisa diya ‘sabin’
dhadkan men josh hai na hararat hai khuun men
Leave a Reply