khud dil men rah ke aankh se parda kare koi
haan lutf jab hai pa ke bhi dhunda kare koi
tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya
kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi
duniya laraz gai dil-e-hirman-nasib ki
is tarah saz-e-aish na chheda kare koi
mujh ko ye aarzu vo uthaen naqab khud
un ko ye intizar taqaza kare koi
rangini-e-naqab men gum ho gai nazar
kya be-hijabiyon ka taqaza kare koi
ya to kisi ko jurat-e-didar hi na ho
ya phir miri nigah se dekha kare koi
hoti hai is men husn ki tauhin ai ‘majaz’
itna na ahl-e-ishq ko rusva kare koi
Leave a Reply