band rakhta huun bas ye jaan ke munh
kabhi lagiye na bad-zaban ke munh
taab kis ko hai tiir khane ki
kaun aa.e chaḌhi kaman ke munh
mujh ko kya kya guman guzarta hai
paas laate hain jab vo kaan ke munh
mast-e-mai se ulajh na ai gardun
buDDhe aata hai kyuun javan ke munh
pahle vo jhuk ke baat karte the
ab chaḌhate hain siina taan ke munh
chhape sandal ke lag ga.e aḳhir
do-zabani se mehrban ke munh
laal ho kar miri talab pe kaha
pahle qabil banao paan ke munh
aap ka hukm sun ke lauT aaya
kaise lagta main pasban ke munh
aaj ‘faruq’ faisla ho jaa.e
kholta huun ye dil men Thaan ke munh
Leave a Reply