vo meri jaan hai dil se kabhi juda na hua
ki us ka gham hi miri ziist ka baha na hua
nazar ne jhuk ke kaha mujh se kya dam-e-ruḳhsat
main sochta huun ki kis dil se vo ravana hua
nam-e-saba mai-e-mahtab itr-e-zulf-e-shamim
vo kya gaya ki koi karvan ravana hua
vo yaad yaad men jhalka hai aa.ine ki tarah
is aa.ine men kabhi apna samna na hua
vo chand sa.aten jo us ke saath guzri hain
unhi ka daur raha aur javedana hua
main us ke hijr ki tarikiyon men Duuba tha
vo aaya ghar men mire aur charagh-e-ḳhana hua
vo lauT aaya hai ya meri ḳhud-farebi hai
nigah kahti hai dekhe use zamana hua
main apne dard ki nisbat ko dil samajhta huun
qafas jo TuuT gaya mera ashiyana hua
usi ki yaad hai sarmaya-e-hayat ‘zafar’
nahin to mera hai kya main hua hua na hua
Leave a Reply