rāhbar rāh-numā koī nahīñ hotā hai
rāh-e-ulfat meñ sagā koī nahīñ hotā hai
mujh ko ḳhalvat meñ bhī tum yaad nahīñ aate ho
ḳhud pasandī se burā koī nahīñ hotā hai
dukh ke mausam meñ dilāse ke liye mere saath
yā to maiñ hotā huuñ yā koī nahīñ hotā hai
ham yatīmoñ ko duā raas nahīñ aatī haiñ
ham yatīmoñ kā ḳhudā koī nahīñ hotā hai
koī saayā na koī phuul na panchhī koī
sūkhte peḌ kā kyā koī nahīñ hotā hai
us se bichhḌā to mujhe bhuul ga.ī ḳhalq-e-ḳhudā
ghar se nikloñ kā pata koī nahīñ hotā hai