ab aae ho sada sun kar gajar ki
kaho ji shab kahan tum ne basar ki
sahar ko dafn kar ke jaiyega
musibat aur hai ik rat-bhar ki
qafas men band karna tha jo taqdir
nadamat kyuun mujhe di bal-o-par ki
guzar jaegi jo guzregi ham par
chalo ji raah lo tum apne ghar ki
abhi tu jaan le le ai gham-e-ishq
musibat kaun uthae umr-bhar ki
khuda ke vaste yaaro sambhalo
ki phir shiddat hui dard-e-jigar ki
tarashshoh ansuon ka ho raha hai
ghata umdi hui hai chashm-e-tar ki
na bolenge tumhare khauf se ham
hilaenge magar zanjir dar ki
na aana tum ijazat mangne ko
na dikhlana hamen surat safar ki
koi dam ka bakheda rah gaya hai
jigar tak barchhiyan pahunchen nazar ki
hamen fassad ka munh dekhna hai
uthani hai musibat neshtar ki
habab-asa hai lutf-e-zindagani
haqiqat kuchh nahin hoti bashar ki
‘nasim’ ab dil katan ki tarah hai chaak
mohabbat men kisi rashk-e-qamar ki
Leave a Reply