• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dahr Mein Ek Tere Siwa Kya Hai

Dahr Mein Ek Tere Siwa Kya Hai

poet

dahr men ik tire siva kya hai

tu nahin hai to phir bhala kya hai

sila-e-zauq mai-kashi ma.alum

zarf kya shai hai hausla kya hai

hashiye apne matn hai un ka

mohtasib phir saza jaza kya hai

puchhta huun har ek saa.e se

chandni ka ata-pata kya hai

un ko hai da.ava-e-asiha.i

jo nahin jante shifa kya hai

kis liye gardish-e-mudam men hain

asmanon ko ye hua kya hai

le uḌegi buland-parvazi

dosto saya-e-huma kya hai

itni ifrat aisi mahrumi

dene vaale mo.amla kya hai

sail-e-sham-o-sahar men bahte hain

kya ḳhabar ziist kya qaza kya hai

ham hi chup ho ga.e ‘tamanna.i’

de raha hai koi sada kya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Dilawar Jo Siyah Shab Ke Shikari Nikle

poet

Tez Hai Mera Qalam Talwar Se

Jaane Kaisa Sog Manaya Jata Hai

poet

Sauda-E-Gesu-E-Siyah-E-Yar Ho Gaya

pahaD Sahra Nadi Ne Hamein Talash Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet