ishq ke raz-ha-e-pinhan ko
kaun samjha hai kis ne jaana hai
farq-e-maut-o-hayat ye samjho
ik haqiqat hai ik fasana hai
ab zara tez-gam ai rahrav
ho ga.i shaam duur jaana hai
har qadam par fareb khaa.e hain
husn-e-zan ka bhi kya Thikana hai
jis ko tum kah rahe ho divana
us ki Thokar men ik zamana hai
barq aa.e hazar baar aa.e
ham ko phir ashiyan banana hai
amn-e-sahil se kya gharaz un ko
jin ko tufan men Duub jaana hai
ab kahan zo.am-e-bal-o-par baaqi
ab koi daam hai na daana hai
ye ḳhizan ke hasin saa.e hain
fasl-e-gul ka to ik bahana hai
vo bhi din the ki tha chaman apna
ab to bhula hua fasana hai
jaane kya ho gaya zamane ko
jaane kaisa ajab zamana hai
mauj-zan dil men jazba-e-nafrat
aur andaz dostana hai
ab ‘qamar’ ḳhair ho gulistan ki
barq ki zad pe ashiyana hai
Leave a Reply